Madeena Munawwara Dawat ke Maqsad ka Bayan Deen ki Mehnat
Madeena monawwarah mein hazrat jee(R A) ka ek khetaab (Bayaan ) (Moarrikha 3/October 1959) Dawat ki Mehnat ka Maqsad Us waqt saari dunya men musalmaan apni apni mosibaton se nikalne ki koshish kar rahe hain un ki koshishon ka rukh sahih hai ya ghalat, hamaari is mehnat ka maqsad ye hai ke saare musalmaanon ki koshish sahih ho ,ye apni mosibataon se nikal jayen ye mehnat saari dunya ke aetebaar se aisi hai jaisi ek chunti ki haisiyat ya lakhon ki namaaz men ek namaazi ki haisiyat � Chunti ki Dua lekin Allah ne ek chunti par bhi bataa diyaa ke wo kiya maamlaa karte hain- hazrat moosaa alaihissalaam baarish ki duaa mange saari qaum ko lekar chale ,lekin raastaa hi se waapas aagaye aur farmaayaa ke ek chunti ne duaa maang lee aur uski duaa qubool ho gayee us chunti ne wo nauiyat ikhtiyar ki jo Allah ko pasand aagayee- Agar Mehnat Allah ko Pasand A Gayi isi tarah agar tumharee mehnat ki nauiyat Allah ko pasand aagayee to zaroori nahi ke sab is kaam me laga jaayen ...