Qurbani-tamaam pareshaniyoun kaa ilaaj hai (Umoomi bayaan ) (Dhaaka mashriqi paakistaan men hazrat maulaanaa mohammad yousuf saahab(R A) ki taqreer ) Mere bhaiyou aur dosto: Dunyaa mein jitney bhi musalmaan hain woh sab ke sab apni jaghon par pareshan hain aur aaj dunyaa mein kahin aisi aqliyat aur aksariyat nahi ke chand sau musalmaan hon, majmooei taur par ghair muslim saaree dunyaa ke musalmaanon se do gune hain � bahut badee aksariyat men hukumaton , faujon aur asbaab-o-wasaail ke saath musalmaan hain aur maadee taur par chamakne ke saare saamaan maujood hain, lekin uske baawajood har jagah ke har tabqaa ke musalmaan pareshaan hain. muslamn ki preshaniyoun ki wajh pareshaani in sab ke liye ek shu-aar ho gayee - pareshaniyoun ke ehsaas ke tareeqe mukhtalif hain. kuch dinee nuqtaa-e-nazar se pareshaaniyoun ko qeyaas karne waale hain � Tijaarat , ziraa-at, san-at, hukoomat ke eitebaar se bhi pareshaaniyan sochi jaa rahi hain aur har tabqa...