Tablighi Jamaat ki Islah ki Tajaweez aur koshishain:EK USOOLI JAEZA
Tablighi Jamaat ke Islah ki Tajaweez aur koshishain: EK USOOLI JAEZA Islah ki zarurat Afrad jamaat aur tahreekat sab ko hoti hai.Afrad to shaitan o nafs se ghira hota hai.Tahrekat mein jamood aur rasmiat aa jati hai. Tablighi jamaat bhi musalmanon ki ek jamaat hai aur yeh bhi is usool ke andar aati hai. Tablighi Jamaat ki islah ki tajweez aur unhai pesh karne walon ko darj e zail hisson mein banta jaa sakta hai. 1? PAHLI QISM: Inhain tablighi jamaat ke buniadi usool se ikhtalaf hai..woh ise 1 bekar kam samajhte hain aur waqt ki barbadi mante hain.Aur ise band karna zaruri samajhte hain. 2? DUSRI QISM: Yeh log buniadi usool se ittafaq karte hain ise mufeed kam samajhte hain.Lekin chand baton mein Fiqhi ya Ijtahadi ikhtalaf rakhte hain aur iski islah chahte hain. 3?TEESRI QISM Yeh bhi buniadi usool se muttafiq hain Inka ikhtalaf Nizamuddin/Raiwind/state level etc ke Akaabir ya Tabligh se jude ulma karam se hai jo unki taqareer/tafhee o tashreeh/Ghulu ke silsile ki hai aur yeh...